Tuesday, January 19, 2016

Friends

sacchai hum aur kabhi
jee lenge kabhi aur sahi
pahar ke ganje shikhron pe
anjaan ladkiyon ke siskiyon se
dhoop se tapte pattaron pe
hum ishque ki chadar...., khair
phir aur kabhi, phir aur sahi.
Jante toh hai hum sab magar,
Chahata hai yeh dil kuch aur dagar
Alas (अलस) bhari angraiyon mein
Dard ki aah pahechanti hai nazar
Karna toh hai bohut kuch..... , kahir
Phir aur kabhi, phir aur sahi.
Charas ke kale dhuyen mei,
Ya need se bhaari palkon ne
Dard se bhara lota daba diya
Abb titliyon ka peecha kare kyon?
Jab kal aur kal ka wasta tut gaya
Par hum sapna dekhna...... khair
Phir aur kabhi, phir aur sahi
Wo dekh kabutar chup gaya
Table ke neeche dubpak gaya
Hum karke bhird (भीड़) chale usko bachane
Jo khud se hi woh dar gaya
sacchai hum aur kabhi
jee lenge kabhi aur sahi